Dec 11, 2014

Woh chahnay walon ko mukhatab nahin karta


Woh chahnay walon ko mukhatab nahin karta 
Aur tark-e-taaluq main wazahat nahin karta 

Woh apni jafaon pe nadim nahin hota 
Main apni wafaon ki tijaarat nahin karta 

Khushboo kisi tasheer ki mohtaaj nahin hoti 
Sacha hoon magar apni wakalat nahin karta 

Ehsaas ki sooli pe latak jaata hoon aksar 
Main jabar-e-musal'sal ki shikayat nahin karta 

MAin azmat-e-insaan ka qayal to hoon "Mohsin"
Lakin kabhi bandon ki ibaadat nahin karta 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...