Dec 21, 2014

Woh hansi hansi main hi chala gaya


Woh hansi hansi main hi chala gaya
keh main haath tak na hila saki

Mujhay kiya khabar thi keh woh kiya hua
Mujhay kitna gehra khumaar tha
Main kharri thi us kay hisaar main
Meray ird gird ghubaar tha
Youn hi sochti rahi dair tak
Magar us ko kuch na bata saki

Na main paas us ko bula saki
Na main dil ki baat bata saki

Na hai dushmani kisi din se ab
Na hai dosti kisi raat se
Haan ab bacha hi kiya jo woh lay gaya
Mujhay cheen kar meri zaat se
Yeh maqaam hi tha ajeeb sa
Kiya main khud ko hi na bacha saki

Na main paas us ko bula saki
Na main dil ki baat bata saki

Yeh bhi theek hai woh chala gaya
Mujhay band raastay pe chor kar
Yeh bhi theek hai keh na aaye ga
KAbhi butt anaa kay woh tor kar
Woh juda bhi kaisay hua keh main
Koi rasam bhi na nibaah saki
Na main paas us ko bula saki
Na main dil ki baat bata saki

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...