KAb talak shab kay andheray main sehar ko tarastay
Woh musaafir jo bharay shaher main ghar ko tarsay
Aankh tehray huye paani se bhi katraati hai
Dil woh rah'ru keh samandar kay safar ko tarsay
Mujh ko us qehat kay mousam se bacha rab-e-sukhan
Jab koi ehal-e-hunar , arz-e-hunar ko tarsay
Ab keh is tor mussalat hua andhera her soo
Hijar ki raat meray deeda-e-tar ko tarsay
Umar itni to ata kar meray fun ko khaaliq
Mera dishman meray marnay ki khabar ko tarsay
Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain aankhain
Jaisay paani main koi seep , gohar ko tarsay
Na'shana'saai kay mousam ka asar to dekho
Aaina khaal-o-khad-e-aaina gar ko tarsay
Aik duniya hai keh basti hai teri aankhon main
Woh to hum thay jo teri ik nazar ko tarsay
Shor-e-sursur main jo sar'sabz rahi Imram
Mousam-e-gul main wohi shaakh samar ko tarsay
No comments:
Post a Comment