Dec 11, 2014

Woh sunta to main kehta , mujhay kuch aur kehna tha


Woh sunta to main kehta , mujhay kuch aur kehna tha

Woh pal bhar ko jo ruk jaata , mujhay kuch aur kehna tha

Kamaei zindagi bhar ki , usi kay naam ko kar di

Mujhay kuch aur kehna tha , Mujhay kuch aur kehna tha

Kahan us ne suni meri , suni bhi un'suni kar di

Ussay maloom tha itna , mujhay kuch aur kehna tha

Meray dil main jo dar aya , koi mujh main be'dar aya

Wahin ik raabta toota , Mujhay kuch aur kehna tha

Rawaan tha pyaar nas nas main , bhout qurbat thi aapas main

Ussay kuch aur sunana tha  , Mujhay kuch aur kehna tha

Ghalt fehmi ne baaton ko barha daala youn hi warna

KAha kuch tha , woh kuch samjha , Mujhay kuch aur kehna tha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...