Dec 18, 2014

Woh utna hi door ho gaya jitna qareeb tha


Milna itifaaq to bicharna naseeb tha 
Woh utna hi door ho gaya jitna qareeb tha 

Hum us ko dekhnay kay liye tarastay hi rahay
Jis shakhs ki hathali pe apna naseeb tha 

Teray paas aanay ko jee chahata hai 
Naye zakham khaanay ko jee chahata hai 

Idher aaye shayed woh mouj-e-taranum 
Ghazal gun'gunaanay ko jee chahta hai 

Zamana mera azmaaya hua hai 
Tujhay aazmaanay ko jee chahata hai 

Wohi baat reh reh kay yaad aa rahi hai 
Jissay bhool jaanay ko jee chahata hai 

LAbon pe meray khilta hai tabassum 
JAb aansoo bahanay ko jee chahata hai

Kai martaba dil pe bijli giri hai 
MAgar muskuraanay ko jee chahata hai 

Rukh-e-zindagi se niqaab ulat kar 
HAqeeqat dikhanay ko jee chahata hai   

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...