Dec 22, 2014

Yeh chragh phir bhi chragh hai kahin tera haath jala na dy


Meray dil ki raakh kuraid mat , ussay muskuraa kay hawa na dy 
Yeh chragh phir bhi chragh hai kahin tera haath jala na dy 

Naye dour kay khwaab hain , naye mousamon kay gulaab hain 
Yeh mohabbaton kay chragh hain inhain nafraton ki hawa na dy 

Zara dekh chaand ki patiyon ne bikhar bikhar kay tamaam shab 
Tera naam likha hai rait par koi lehar aa kar mitta na dy 

MAin udasiyaan na saja sakoon kabhi jism-o-jaan kay mizaar par
Na diye jalain meri aankh main mujhay itni sakht saza na dy

Meray saath chalnay kay shouq main bari dhoop sar pe uthaye ga 
Tera naam naqsha hai mom ka kahin ghm ki aag ghulla na dy

Main ghazal ki shabnami aankh se yeh rukhon kay phool chuna karoon 
Meri saltanat mera fun hai mujhay taaj-o-takhat khuda na dy

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...