yeh pehlay hijar ka qissa hai
Go aaj kay din ki baat nahin
Kuch umar bhi thi dewano si
Kuch chaal bhi thi mastaani si
Haathon main phool sajaatay thay
Saj dhaj kay college jaatay thay
Kab itnay seedhay saadhay thay
Us waqat to hum shehzaday thay
Phir ik chehra bhaa sa gaya
Nazdeek woh dil kay aa sa gaya
Phir woh tha aur baatain us ki
Din sab us kay raatain us ki
Phir aisa bichra mila nahin
Is dil ka phool khila nahin
Phir us kay baad jo log milay
Is dil ko jitnay rog milay
Her saans usi kay naam rahi
Her shaam usi ki shaam rahi
Yeh pehlay hijar ka qissa hai
Jo aaj bhi hum par taari hai
Yeh hijar abhi tak jaari hai
No comments:
Post a Comment