Dec 15, 2014

Yeh simat'tay saaye na jaanay kiya payaam laye hain


 Yeh simat'tay saaye na jaanay kiya payaam laye hain

Lagta hai band gali main dhalti shaam laye hain

Poocha tha kal main ne shab kay andheray pan se

Kiyon utar kay meri rooh main sar-e-shaam aaye hain

Safar to kat sa gaya justagoo-e-la'haasil main

Ab baalon main dhoop saja kar kon se maqaam aye hain

Ujraton pe wafaon ka soda to kabhi na kiya

To phir yeh shab-e-hijar ki tawalaat kiya likhwa kar taqdeer-e-mubraam laye hain

Hamain ishq tha sadaa tarapnay se sisaknay se jaanan

Kuch soch kar hi kheench kar sazaon ko dar-e-baam laye hain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...