Yeh zehmat bhi to rafta rafta rehmat ho hi jaati hai
Musal'sal gham se , gham sehnay ki aadat ho hi jaati hai
Maseeha ho agar tum sa , zaroorat kiya hai mehram ki
Keh kaanton se bhi zakhmon ki jarahat ho hi jaati hai
Taaluq jin se ho un par gila aaya hi karta hai
Mohabbat jin se ho un se shikayat ho ho jaati hai
Zaroori to nahin suraj sawa nezay pe Aa jaye
Badal jaye koi apna to qayamat ho hi jaati hai
No comments:
Post a Comment