Dec 14, 2014

Zubaan chup thi magar lafaz boltay rahay


Zubaan chup thi magar lafaz boltay rahay

Yaad kay dareechon se kai unwaan boltay rahay

Umar-e-rawan to tehri ghaflaton ki kitaab

Zindagi ki shaam main amaalon kay mezaan boltay rahay

Bikhar gaye nashaiman kay tinkay hawaon main apnay

Kharray tanha ussay smaitnay kay samaan sochtay rahay

Yaadon ki raah guzar par gubaar-e-karwaan raha

Hum udasiyon main manzalon kay nishaan khojtay rahay

Silsalay wafaon kay ajeeb tarz kay thay Qais

Jinhain maqsood-e-hayaat jaana  wohi fana kay unwaan nikaltay rahay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...