Oct 2, 2014

Kiyon dil se dil nahin milta


Kiyon pyaar karnay ki haddain hoti hain 

Kiyon dil danay ki waja hotein hain 

Kiyon jazbaaton ko dabaana parta hai 

Kiyon is dil ko samjhana parta hai 

Kiyon her dil ko yeh mehsoos nahin hota 

Kiyon sab ko yeh manzoor nahin hota 

Kiyon dil se dil nahin milta

Kiyon pyaar ka phool nahin khilta 

Kiyon dil kay naghmay dil nahin gaata 

Dil main kiya hai yeh keh nahin paata 

Kiyon dil denay ki yeh saza hai 

Kiya pyaar karnay main yahi maza hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...