Oct 13, 2014

Ajab apna haal hota jo wisaal-e-yaar hota


Ajab apna haal hota jo wisaal-e-yaar hota

Kabhi jan sadqay hoti kabhi dil nisaar hota

Na maza hai dushmani main na hai lutf dosti main

Koi ghair ghair hota koi yaar yaar hota

Ye maza tha dillagi ka keh bara’bar aag lagti

Na tumhain qaraar hota na hamain qaraar hota

Tere waday par sitamagar abhi aur sabr kartay

Agar apni zindagi ka hamain aitabar hota

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...