Jan 18, 2015

Aaj us ki yaad ne hamain tarpaya bhout




Aaj us ki yaad ne hamain tarpaya bhout 
Aaj na chahtay huye bhi woh yaad aaya bhout 
Us kay baad to jaisay tanhaiyon se dosti ho gayi 
Phir kiyon tanhaiyon ne aaj darayia bhout 
Woh mera tha
Mera hai 
Mera rahay ga ?
Yeh soch kay dil ko behlaya bhout 
Shama kay jalnay pe afsos karain kiyon 
Hum ne bhi sar-e-shaam khud ko jalaya bhout 
Hum ne jis kisi ko bhi hamdard samjha 
Na janay kiyon woh hamaray dard pe muskuraya bhout

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...