Jan 15, 2015

Ae dil bas kar itna bhi kisi ko chaha nahin kartay


Ae dil bas kar itna bhi kisi ko chaha nahin kartay
JAb chahat ki qadar na rahay phir kisi ko socha nahin kartay 

Gawah hain hamaray yeh chaand sitaray sab kay sab 
Hum teray gham main raat bhar soya nahin kartay 

Koi dekhye ga to tujhay hi gunnah'gaar tehraein gay 
Iss dar se hum palkon pe aansoo laya nahin kartay

Jab kisi ko paanay ki umeed baaqi na rahay
Phir kisi ko youn rab se bhi maanga nahin kartay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...