Jan 22, 2015

Farq sirf itna tha


Farq sirf itna tha 
Us ki doli uthi 
Meri mayyat uthi
Phool us par bhi thay 
Phool mujh par bhi thay 
Mehfil wahan bhi thi 
Log yahan bhi thya 
Rona wahan bhi tha 
Rona yahan bhi tha
Saheliyaan us ki bhi thein 
Dost meray bhi thay 
Kalmay us kay bhi parhay
Kalmay meray bhi parhay 
Qazi udhar bhi tha 
Molvi idher bhi tha 
Wph sajj kay gayi 
Mujhya sajaya gaya 
Woh uth kay gayi 
Mujhay uthaya gaya 
Faraq sirf itna tha 
Ussay apnaya gaya 
Aur mujhya dafnaya gaya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...