Jan 31, 2015

Hawa se mil kar chunri kaa'hay mujh ko sataye


Hawa se mil kar chunri kaa'hay mujh ko sataye
Sajni, urr urr kar tujh ko yeh kuch samjhaye

Rang hatheli par mehandi ka kaisa lagay
Lagta hai ik shola sa us par lehraye

Honton ki yeh laali aakhir kiya kehti hai
Sajni geet milan ka koi tu bhi gaaye

Bolo maathy ki yeh bindiya kiyon chairay hai
Yeh chahti hai tu sajan ka saath nibhaye

Kaan ka jhumka holay holay kiya kehta hai
Tera sajjna shaher se tujh ko lenay aaye

Kis kay liye hai bolo na , chori ki kahan kahan
Jis kay shaano par tu zulfon ko lehraye

Aanchal kiyon be'taab hai ghoonghat ban jaanay ko
Gori us ko khwaab kis ne hain dikhlaye

Kiyon takta hai chanda badli se chup chup kar
Teray roop sunehray se chanda sharmaaye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...