Jan 4, 2015

Karni ho mohabbat to phir socha nahin kartay


Karni ho mohabbat to phir socha nahin kartay 
Anjaam ho jaisa bhi yeh dekha nahin kartay

Himmat na ho larnay ki to Ae jan-e-wafa sun 
Youn ishq kay maidaan main utra nahin kartay

Ae kaash koi zamanay ko itna hi bata day
Keh behtay huye dariyaon ko roka nahin kartay

Hotay hain khud'daar wohi log jahan main 
Jo mar jaatay hain magar yaar se dhoka nahin kartay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...