Kati hai gham ki raat baray ehtaraam se
Aksar bhujha liya hai chraghon ko shaam se
Roshan hai apni bazam aur is ehtraam se
Kuch dil bhi jal rahay hain chraghon kay naam se
Muddat hui hai khoon-e-tamana kiye magar
Hum khailtay rahay kisi zulfon ki shaam se
Her saans par hai mout ka pehraa laga hua
Aahista ae hayaat guzar is maqaam se
Kaati tamaam umar faraib-e-bahaar main
Kaantay samit'tay rahay pholon kay naam se
Yeh aur baat hai keh hum na sun sakay
Awaaz us ne di hai hamein her maqaam se
No comments:
Post a Comment