Jan 30, 2015

Ojhal sahi nigah se , dooba nahin hoon main


Ojhal sahi nigah se , dooba nahin hoon main

Ae raat khabardaar keh haara nahin hoon main

Dar'paish subh-o-shaam yahi kash'makash hai ab

US ka bano main kaisay keh apna nahin hoon main

Mujh ko farishta honay ka dawa nahin magar

Jitna bura samjhtay ho , utna nahin hoon main

IS tarah phair phiar kay baatain na keejiye

Lehjay ka rujh samjhta hoon bacha nahin hoon main

Mumkin nahin hai mujh se yeh tarz-e-munafqat

Duniya teray mizaaj ka banda nahin hoon main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...