Jan 31, 2015

Roz taaron ki numaish main khalal parta hai


Roz taaron ki numaish main khalal parta hai
Chaand pagal hai andheray main nikal parta hai

Aik dewaana musafir hai meri aankhon main
Waqat-be-waqat teharta hai chal parta hai

Apni tabeer kay chakar main mera jaagta khwaab
Roz suraj ki tarah ghar se nikal parta hai

Roz pathar ki himayat main ghazal likhtay hain
Roz sheeshon se koi kaam nikal parta hai

Us ki yaad aayi hai dharkan zara aahista chalo
Dil ki dhak dhak se tasawur main khalal parta hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...