Jan 28, 2015

Shaam kay surmai andheron main youn teri yaad saath chalti hai


Shaam kay surmai andheron main 

Youn teri yaad saath chalti hai 

Jaisay parbat kay sabaz perron par 

Barf kay baad dhoop parti hai 

Jaisay sehraa ki rait urr urr kar 

Ajnabi ka tawaaf karti hai 

Aah bharta hoon ashk peeta hoon 

Roz marta hoon phir bhi jeeta hoon 

Kitni masoom aarzo'on ko 

Kis tarah log tor jaatay hain 

Jaisay dam tortay musafir ko 

Qaaflay walay chor jaatay hain 

Shaam kay surmai andheron main 

Youn teri yaad saath chalti hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...