Jan 8, 2015

Subaq raftaar lamhon ki haddain tarteeb deta hoon


Subaq raftaar lamhon ki haddain tarteeb deta hoon 
Sehar ki saans ginta hoon shabbain tarteeb deta hoon

MAin aab-e-zarr likhta hoon usi ka naam shairon main 
Sunehray lafz bunta hoon unhain tarteeb deta hoon 

Ussay sochon to pehlu se sirak jaata hai dil mera 
MAin dil pe haath rakh kar dharkanain tarteeb deta hoon 

Meray logon ki niyat main yazeedi wasf hai "Haseeb"
Wohi mujh ko mitaatay hain jinhain tarteeb deta hoon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...