Feb 19, 2015

Aseer-e-dasht-e-wafa ka na maajra kehna


Aseer-e-dasht-e-wafa ka na maajra kehna 
Tamaam poochnay walon ko bas dua kehna 

Yeh kehna raat guzri hai ab bhi aankhon main 
Tumhari yaad ka qaaim hai silsala kehna 

Yeh kehna chaand nikalta hai baam par ab bhi 
Magar nahin woh shab-o-roz ka maza kehna 

Yeh kehna hum ne hi toofan main daal kay kashti 
Qasoor apna hai dariya ko kya bura kehna 

Yeh kehna tum se bichar kar bikhar gaya hoon main 
Keh jaisay haath se gir jaye "Aaina" kehna 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...