Feb 17, 2015

Baadshah teray asaab pe taari main thi


Baadshah teray asaab pe taari main thi 
Woh bhi din thay keh teri raaj kumaari main thi 

Yeh bhi sach hai keh mujhay maar diya hai tu ne 
YEh bhi sach ahi keh tujhay jaan se pyaari main thi 

Sari duniya ko pata hai keh tum meray ho 
Sari duniya ko pata hai tumhari main thi 

Dard kab tha woh teray dil miain junoon tha mera 
Ashk kab thay woh teri aankh se jaari main thi

Ab to ik jism hoon jis main koi dharkan hai na dil 
KAbhi saanson ki tarah jaari-o-sari main thi 

Mujh ko duniya ne baant'na chaha lakin 
Jiss taraf dil tha udhar saari ki saari main thi 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...