Bahaar tham , abhi jashn-e-bahaar baaqi hai
Ru'ba'ru gul hai , par deedar-e-yaar baaqi hai
Hazaar sajday kiye diyaar-e-haram main phir bhi
LAhoo main sha'aar, aur dil par ghubaar baaqi hai
YEh sab jaam-e-mohabbat ka asar hai saqi
Raat dhal gayi phir bhi khumaar baaqi hai
Khuda ki zaat se umeed chortay kiyon ho
Khizaan kay baad samaa khush'gawaar baaqi hai
Lab-e-dariya yahaan koi shaher tha shayed
Lakin us ki faqat kuch dewaar baaqi hai
Phir shuru'aat nahin mujh se huwi
Phir ik parwaaz sitaaron ki diyaar baaqi hai
No comments:
Post a Comment