Band kitabon main urti hui titliyaan daal dein
Kis ne rasmon ki jalti hui aag main lakriyaan daal dein 
Khouf kaisa hai yeh naam us ka zer-e-lab bhi nahin 
Jis ne haathon main meray haray kaanch ki chooriyan daal dein 
Hont pyaasay rahay hoslay thak gaye umar sehra hui 
Hum ne pani kay dhokay main phir rait par kashtiyaan daal dein 
Mousam-e-hijar ki kaisi sa'aat hai yeh dil bhi hairan hai 
Meray kaano main kis ne teri yaad ki baaliyan daal dein 
-.jpg)
 
No comments:
Post a Comment