Deeda-o-dil main koi husan bikharta hi raha
Laakh pardon main chupa koi sanwarta hi raha
Roshni kam na hui waqat kay toofan main
Dil kay dariya main koi chaand utarta hi raha
Raastay bhar koi aahat thi keh bas aati hi rahi
Koi saaya meray baazo'on se guzarta hi raha
Mitt gaya par teri baanhon ne sameta na mujhay
Shaher dar shaher main galiyon main bikharta hi raha
Lamha lamha rahay aankhon main Andheray lakin
Koi suraj meray seenay main ubharta hi raha
No comments:
Post a Comment