Hairaan hoon yeh kon sa dastoor-e-wafa hai
Tu misaal-e-rag-e-jaan hai to kiyon mujh se juda hai
Tu ehal-e-nazar hai to nahin tujh ko khabar kiyon
Pehlu main teray koi zamanay se kharra hai
Likha hai mera naam samandar pe hawa ne
Aur dono ki fitrat main sakoon hai na wafa hai
Uth'ti hain jo pehlu se meray dard ki lehrain
Be'taab samandar koi seenay main daba hai
Ae zeest kay dozakh se guzartay huye lamho
Socha hai kabhi tum ne keh jeena bhi saza hai
No comments:
Post a Comment