Feb 2, 2015

Jitna bhi tum ko sochon utna hi door paaun


Jitna bhi tum ko sochon utna hi door paaon

Jitna bhi tum ko chahon khud hi bikharta jaaon

Main aam sa musafir be'aas be'sahara 

Tu door rehnay wala ik aasmaan ka taara 

MAin rait se ulajhta sehraaon ki hawa hoon 

Tum saahilon pe chalta baad-e-saba ka jhonka 

Haan farq to bhout hai , par baat yeh faqat hai 

Main laakh toot jaaun , khud se hi rooth jaaon

Par yeh na ho ga mujh se , main tum ko bhool jaaon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...