Feb 8, 2015

Jo apni umar se aagay nikal rahi ho tum


Jo apni umar se aagay nikal rahi ho tum
Tumhain khabar hai jawani main dhal rahi ho tum

KAbhi tumhain bhi to daawa tha sard'mehri ka
Kisi kay lams ko pa kar pighal rahi ho tum

Bataao kiyon nahin roka tha jaanay walon ko
Ab aik umar se kiyon haath mal rahi ho tum

Jo waalidain ne tum se kaha woh maan liya
Ab apni aag main chup chaap jal rahi ho tum

Hamaray dil ka khilona tum hi ne tora hai
Ab isi khilonay ki khatar machal rahi ho tum

Tumhain gumaan hai keh main jaanta nahin kuch bhi
Mujhay khabar hai keh raasta badal rahi ho tum

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...