Feb 1, 2015

Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta


Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta 
Yeh dard us ne diya hai usi se kiya kehta 

Gila to mujh ko bhi karna tha pyaas ka lekin 
Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta

Meray aziz hi mujh ko samjh na paaye kabhi 
Main apna haal kisi ajnabi se kiya kehta 

Andheri raat ne mujh ko bhout staya hai 
Bhala yeh baat main ab roshni se kiya kehta 

Tamaam shaher main tha raaj jhoot ka 
Main apnay gham ki haqqeqat kisi se kiya kehta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...