Feb 7, 2015

Kalaam karti nahin , bolti bhi jati hai


Kalaam karti nahin , bolti bhi jati hai 
Teri nazron ko yeh kaisi zuban aati hai 

KAbhi kabhi mujhay pehchanti nahin woh aankh
Kabhi chragh se charon taraf jalati hai 

Ajab tazaad main palti hai teray wasal ki yaad 
Keh ek aag bujhati hai ik lagati hai 

MAin us ko dekhta rehta hoon raat dhalnay tak 
Jo chandani teri galiyon se ho kay aati hai 

Yeh roshni bhi ataa hai teri mohabbat ki 
Jo meri rooh kay manzar mujhay dikhati hai 

Umeed-e-wasal bhi hai kaanch ki choori 
Ke pehn'nay main kai baar toot jati hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...