Feb 3, 2015

Main tabasum hoon tu honton pe saja lay mujh ko


 Kar na duniya-e-gham kay hawalay mujh ko
MAin tabasum hoon tu honton pe saja lay mujh ko

Tu mila hai to yahi khouf laga rehta hai
Mera milna kisi uljhan main na dalay tujh ko

Is yaqeen par hi andheron main safar jaari hai
Mil hi jayein gay kisi roz ujalay mujh ko

Teri nafrat ne to majboor kiya jeenay par
Ab tera pyaar kahin maar na daalay mujh ko

Be'niazi ka yeh andaaz nahin kuch bhi "Nazar"
Baat to tab hai keh tu dil se nikalay mujh ko

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...