Feb 8, 2015

Mujhay rona nahin , awaz bhi bhaari nahin karni


Mujhay rona nahin , awaz bhi bhaari nahin karni
Mohabbat ki kahani main ada'kaari nahin karni

HAmara dil zara uktaa gaya tha ghar main reh reh kar
Youn hi bazaar aaye hain kharidaari nahin karni

Tahamul Ae mohabbat , Hijar pathreela ilaaqa hai
Tujhay is raastay par taiz'raftaari nahin karni

Hawa kay khouf se lipta hoon khushk tehni se
KAhin jana nahin , janay ki tayari nahin karni

Ghazal ko kam'nigahon ki ponch se door rakhta hoon
Mujhay banjar dimaghon main shajar'kaari nahin karni

Naseehat ki thi mujh ko Qais ne sehraa kay baray main
YEh mera ghar hai , is ki chaar'diwari nahin karni

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...