Mujhay sonay do zindagi bhar ka thaka hua hoon
Kuch dair ko to araam lenay do
Safar zeest main guzri umar
Kisi ki talaash main katti umar
Sar gardaan raha umar bhar
Dukh se naata raha umar bhar
Sukh-o-chain ko raha main tarasta
Apnay hi aansoo raha peeta
Zulam her ik ka sehta raha
Chot kha kay bhi main muskurata raha
Din meray liye azaab thay
Raaton ko teri yaad kay nisaab thay
Khushiyon kay kuch sapnay thay
Zulam-o-sitam karnay walay apnay thay
Dukhon ko damanmain samait'ta raha
Tanhai main akela rota raha
Aankhon ka saath paani chor gaya
Sagar apni rawani chor gaya
Aaj ik khushi ka lamha aaya
Maa kay jaisay thapak kay mujhay sulaaya
Apni laash pe mujhay ronay do
Apni miyyat pe maatam mujhay karnay do
Logo mujhay sonay do
No comments:
Post a Comment