Mundir par chragh rakh diye hain khud jalaye ga
Woh aanay wala shakhs janay kis taraf se aaye ga
To teh huwa na , is gali kay mor tak to saath hain
Par is gali kay mor tak bhi ik zamana aaye ga
Udaas parbaton se sardiyon ki barf aa mili
Magar yeh rabt dhoop ki kiran se toot jaye ga
Jo log hijar ki musafaton main thak kay so gaye
Khayal-e-mousam-e-wisaal hi unhain jagaye ga
Woh ajnabi to shaher chor kar kabhi ka ja chuka
Kitaab-e-dil ki ru'numaai main kissay bulaye ga
Tu apnay harf us kay naam kar kay khud ko bhool jaa
YEh ehad-e-be'hunar hai kis ko mojza dikhaye ga
Siwaye us kay apni tairgi main aap jal utahain
Saleem shab zadon ko kon roshni dikhaye ga
No comments:
Post a Comment