Naye chragh liye shaam-e-be'kassi aayi
KEh dil bujha to sitaaron main roshni aayi
Junoon-e-shouq ne poncha diya kahan mujh ko
Nigaah-e-yaar bhi aksar thaki thaki aayi
Hamaray paas kahan aanso'on ki soghatein ?
Kisi ko apna bana kay bari hansi aayi
Jahan-e-daar-o-rasaan ho kay bazam-e-shair-o-ghazal
Hamaray samnay apni hi zindagi aayi
Tumhari yaad ko araam-e-jaan banaya tha
Tumhari yaad bhi lakin kabhi kabhi aayi
Hazaar rang diye jis ne zindagi ko
Ussi nazar se mohabbat main saadgi aayi
Meray khaloos ka Aalam na poochna Mohsin
Shakist-e-jaam se awaaz-e-zindagi aayi
No comments:
Post a Comment