Feb 24, 2015

Nazar-e-mohabbat ka kiya tawaan chahtay ho ?


Nazar-e-mohabbat ka kiya tawaan chahtay ho ?
Dil chahtay ho ya jaan chahtay ho 

Parwah nahin anjaam-e-mohabbat jo bhi ho 
Bas ab faisala sunna do jo tum chahtay ho?

Phoolon ki gali ho ya kaanton ki dagar 
Lay jaao sanam wahan jahan tum chahtay ho 

Be'hiss tum nahin to khamosh kiyon ho 
MAin ne kar di haan ab aur kya chahtay ho ?

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...