Feb 28, 2015

Nigah-e-yaar pe palkon ki gar lagaam na ho


Nigah-e-yaar  pe palkon ki gar lagaam na ho 
Badan main door talak zindagi ka naam na ho 

Woh be'niqaab jo phirta hai gali koochon main 
To kaisay shaher kay logon main qatal-e-aam na ho 

Mujhay yaqeen hai keh duniya main dard barh jayein 
Agar yeh peenay pilaanay ka ehtamaam na ho 

Bitha kay samnay bas dekhta rahoon tujh ko 
Teray siwa mujhay duniya ka koi kaam na ho 

Jo us ko dekh lay mehtaab ik nazar "Danish"
Meray shaher ki fizaon main kabhi shaam na ho 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...