Qurb-e-jana ka na meh'khanay ka mousam aaya
Phir se be'sarfa ujjar janay ka mousam aaya
Kanj-e-ghurbat main kabhi gosha-e-zindan main thay hum
Jaan-e-jaan jab bhi teray aanay ka mousam aaya
Ab lahoo ronay ki khwaish na lhoo honay ki
Dil-e-zinda teray mar'janay ka mousam aaya
Koocha-e-yaar se her fasal main guzray hain magar
Shayed ab jaan se guzar janay ka mousam aaya
Koi zanjeer koi harf-e-khard lay aaya
Fasal-e-gul aayi keh dewanay ka mousam aaya
Seel-e-khoon shaher ki galiyon main dar aaya hai Faraz
Aur tu khush hai keh ghar janay ka mousam aaya
No comments:
Post a Comment