Feb 23, 2015

Rasm-e-mohabbat zara sarkar nibha kar sona


Rasm-e-mohabbat zara sarkar nibha kar sona 
Meri tasveer ko seenay se laga kar sona 

Mar'mari  baanhain dukh na jayein karwat lenay main 
Reshmi bistar pe phoolon ko bicha kar sona 

Mera dawa hai keh parwanay tumhgain dhoondain gay 
Imtihaan chaho to phir shamma bhuja kar sona 

LAg na jaye kahin be'taab sitaron ki nazar tumhain 
Chnad se chehray ko apnay aanchal se chupa kar sona 

Choom lenay do hamain nargasi aankhein apni 
Phir baray shouq se palkon ko jhuka kar sona 

Subha hotay hi teray shaher se jana hai mujhay 
Aaj ki raat zara mujh ko mana kar sona

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...