Feb 4, 2015

Subha hotay hi teray shaher se jaana hai mujhay


Subha hotay hi teray shaher se jaana hai mujhay 
Aaj ki raat zara mujhay mana kar sona 

Koi na sunay ga meray baad dukh tumharay 
Mujhay apna her dukh suna kar sona 

Chalay jayein gay to roya karo gay yaad kar kay 
Sirf aaj ki raat hai mujhay apna bana kar sona 

Hum to toot kay chahtay thay tumhain 
Tum ne hamain kiyon na chaha yeh baat bata kar sona 

Shayed meray aansoo tujhay khareed lain 
Aaj meray aanso'on ki qeemat laga kar sona

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...