Feb 7, 2015

Teri aankhain , tabasum lab , teri zulfain bikharnay tak



Teri aankhain , tabasum lab , teri zulfain bikharnay tak

Bhula paaon ga kya kya main milan se phir bicharnay tak 

Mera jewan andheron main andhera ban gaya ab to 

KAhin ab kho na jaaon main naya suraj ubharnay tak 

Mujhay maloom tha kab yeh, hamein aisay bicharna hai 

Hamein to saath chalna tha  is chahat main marnay tak 

Meri to zindagi main her inayat bas usi ki thi 

Mujhay abad karnay se mujhay bar'baad karnay tak

Jo bigra hoon to ab asan nahin mera sudhar jana 

Bhout hi waqat lagta hai bigarnay se sudharnay tak 

Saza kiyon "Ali" kay dil ko mili hai is mohabbat main 

Teray dil main utarnay se meray dil se utarnay tak

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...