Feb 24, 2015

Tum khafa kiyon ho tumhain mujh se gila kiya hai ?


Tum khafa kiyon ho 

Tumhain mujh se gila kiya hai ?
Achanak be'rukhi itni 
Bataao to huwa kya hai ?
Manaon kis tarah tum ko ?

Mujhay itna to bata do 
Agar ab ho sakay tum se 
To yeh ehsaan farma do 
Mujhay manzil pe poncha do 

Tumhari aankh main aansoo 
Mujhay achay nahin lagtay 
Tumharay narm honton pe 
Gilay achay nahin lagtay 

Tumharay muskuranay se 
Mera dil muskurata hai 
Tumharay rooth janay se 
Mera dil toot jaata hai 

Main aksar sochta hoon yeh 
KEh tum kiyon dil main bastay ho 

Koi to baat hai tum main
Jo itnay achay lagtay ho 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...