Tumhain jana ijaazat hai
Keh in tareek raahon par 
Thakhan si khud main paao to 
Andheron se kabhi dil dol jaye 
Thak si jaao to
Mere jaltay huye lamhay 
Mere kangaal hathon se chura kay apnay haathon ko 
Fiza ki naghmagi se tum naye geeton ko chun lena 
Haseen palkon ki nokon par naye kuch khwaab bun lena 
Koi gar pooch le mera to us se zikar mar karna 
Mere jeevan ki tapti do'pehar se be'gharz ho kar 
Tum apni chandani raaton main jugnoo paaliti rehna 
Meri tanhaiyon ki wehshaton ki fikar mat karna 
Tumhain is ki ijaazat hai 
Mere sab khatt jala dena 
Mere tohfon ko dariya main bahana ya daba dena 
Meri her yaad ko dil se khu'rachna aur mitta dena 
Tumhain bil'kul ijaazat hai 
Keh jab chaho bhulaa dena 
Magar itni guzarish hai 
Agar aisa na ho jana 
 
No comments:
Post a Comment