Feb 10, 2015

Tumhari aankhein kehti hain , hisaar-e-zaat se niklo


Tumhari aankhein kehti hain , hisaar-e-zaat se niklo 
Tamana meri ban jaao shab-e-barbaad se niklo 

Kinara thaam lo dil ka bhula do sab gilay shikwe
Kabhi sachi hansi hans do puraani yaad se niklo 

Khayal-e-yaar acha hai magar jis ne wafa na ki 
Palat kar phir sada na do dar-e-fariyad se niklo

Kal ki raat ka pehlu achanak hum se yeh bola 
Saja lo aankh main sapnay amawas raat se niklo 

Nahin tum ko gawara ab hamara qurb to keh do 
Hamaray qurb ki choro tum is azaab se niklo

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...