Feb 4, 2015

Woh mehndi lagay haath dikha kay roi



Woh mehndi lagay haath dikha kay roi 
Main kisi aur ki hoon woh yeh bata kay roi 

Main bola kon hai woh khush'naseeb 
Woh mehndi se likha hua naam dikha kay roi 

Kahin gham se phatt na jaye jiger mera 
Woh hanstay hanstay mujhay hansa kay roi 

Dil na toota us ka gham-e-hijar main 
Main bhi roya woh bhi meri aankh se aankh mila kay roi 

US ne jana jab meray ronay ka sabab 
Apnay aansoo meri hathaili pe saja kay roi 

Jab bhi dekha ussay hanstay huye dekha 
Waqat-e-hina her khushi ko woh bhula kay roi 

Dil ne chaha ussay jee bhar kay dekh loon 
Woh meri aankhon ki pyaas ko bujha kay roi 
 
Kabhi kehti thi keh main nahin jee paaon ki tum bin 
Aur aaj phir woh yeh baat dohraa kay roi 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...