Neela mera wajood gharri bhar main kar gaya
Woh zehar ki tarah meray dil main utar gaya
PAlkein larz kay reh gayein aur deep bujh gaye
Ilzaam ab kay baar bhi Aandhi kay sar gaya
Ab kis liye sambhaal kay rakhon bisaa'ratein
Aankhon se khwaab cheen kay jab chara gar gaya
Us se bichar kay dil ka huwa hai ajeeb haal
Paanay ki Aarzoo gayi , khonay ka dar gaya
JAb mousamon ne phir se bagawat ki thaan li
Tehni pe phool khilnay se pehlay bikhar gaya
Behtar hai khud rafu'gari seekhon keh aaj to
Ghaayo khulay hi chor kay woh chara gar gaya
Us pe yaqeen ba'haal huwa to woh aik dam
Iqraar kay maqaam pe Aa kar mukar gaya
Aankhon se neend . dil se sukoon ho gaya juda
Lagta hai apnay saath koi haath kar gaya
Suraj ne saath chora to dekha palat kay tab
Socha jo saath chalta tha sayaa kidhar gaya
No comments:
Post a Comment