Feb 24, 2015

Yeh jo be'rukhi hai baja nahin


Yeh jo be'rukhi hai baja nahin 
YEh adaein kiyon , yeh ghroor kya ?
YEh guraiz kis liye is qadar 
YEh khafa khafa se hazoor kya 
Tujhay yaad karna mazaaq tha 
Tujhay bhool jana azaab hai 
YEh saza hai jurm-e-firaaq ki 
Meray haafzay ka qasoor kya ?
Teray saath hai jo teri anaa
Meray saath mera naseeb hai 
Mujhay tujh se kaisi shikayatein 
Tujhay khud pe itna ghroor kya ?
Yeh tumhara chehra kitab hai 
Issay parh raha hoon main warq warq 
Zara baat saada likha karo 
yeh mohawaron ka satoor kya 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...