Feb 25, 2015

Youn hi mil baithnay ka koi bahana niklay


Youn hi mil baithnay ka koi bahana niklay 
Baat se baat fasanay se fasana niklay 

Phir chalay zikar kisi zakham kay chhil janay ka 
Phir koi dard koi khwaab purana niklay 

Phir koi yaad koi saaz utha lay Aai 
Phir kisi saaz kay parday se tarana niklay 

Yeh bhi mumkin hai keh sehraa'on main gum ho jayein 
Yeh bhi mumkin hai kharabon se khazana niklay 

Aao dhoondain to sahi ehal-e-wafa ki basti 
Kya kahabr phir koi gum'gashta thikana niklay 

Yar aisi  bhi na kar baat keh dono ro dain 
YEh taaluq bhi faqat rasam-e-zamana niklay 

YEh bhi hai ab na uthay naghma-e-zanjeer kabhi 
YEh bhi hai hum sa koi aur dewana niklay 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...